November 18, 2024

Mobile data hack hone se kaise bachaye?

Mobile data hack hone se kaise bachaye?

Mobile data hack hone se kaise bachaye?

Apke Mobile data ho Jaye hack, Aur aapko pata bhi na chale? Aajkal ise crime bhut ho rahe hai, Ise hackers se bachne ke liye aaj mai apke liye ye post lekar aaya hu, Is post mai di gyi bato ka dhayan rakh kar aap bhi apne mobile ka data hack hone se bata sakte ho aur ish post ko dosto ke sath share karke aap unki bhi help kar sakte ho.

 

Mobile data hack hone se kaise bachaye? Aajkal har kisi ke pass smartphone hota hai. Aur har koi use karta hai,  aajkal aadhe se jayda kam smartphone se hone lage hai. Smartphone ki popularity ke badne ke sath sath bhut se crime bhi hone lage hai kyuki aajkal sab log abhi sari jankari jaise Personal massage, Images, Videos, aur sath hi bhut hi banking apps jinka use karke minuts me tranction kar sakte hai ve sabhi apne mobile me rahte hai. so hackers ke bachne ke liye kya kya savdhani rakhni chahiye?

 

Mobile Hack hone se bachne ke tarike?

1.Apne Mobile Ko Password Protect Rakhe

Hackers se bachne ke liye sabse pahle apne mobile ko password protect rakhna jaruri hai, Iske liye aap apne mobile ki setting me jakar Pin lock ya pattern lock password ko on kar sakte hai. jo ki thoda hard ho.

 

2.Mobile ko use karne ke bad screen lock kare

Mobile data hack se bachne ke liye apko apne mobile ko use karne ke bad screen lock kar dena chahiye, kyuki automatically screen lock hone me kuch seconds ka time lagta hai. jiska jayda uthakar koi bhi apne data ko transfer kr sakta hai.

 

3. Unverified Application ko use na kare

Hack android phone se bachne ke liye iska dhyan rakhna bhut jaruri hai. Unverified app ise hack cell phone app hoti hai jo apko kisi ne share ki ho ya apko mail ke through ya social platform se bheji gyi ho, Isi aap ko apne phone me install na kare kyu in app me hackers dwara banaye gye virus hote hai jo apka sara data ko read/ use kar sakte hai so Hamesha verified application jo apko google play store me ho unhe ki download or install kre.

Read Also :- Android Phone के लिए 10 Best Photo Editor Apps 2020

 

4. Application Permission ka dhyan rakhe

Hack android phone se bachne ke liye ye application permission ka dhyan rakhne ki bhut jrurt hai ki, Jab bhi aap koi new application install karte hai to aapko kuch permission allow krne ke option aate hai jaise sms read, gallery read, location allow, Isiliye hamesha dhran rakhna chahiye, agar jaruri ho to bhi allow karna chahiye.

 

5. Antivirus ka use kare

Mobile data hack se bachne ke liye hamesha apne mobile me antivirus rakhe. aur Week me ek bar mobile ko full scan kare,  jisse agar apne mobile me koi virus ho to vo delete ho jaye. aur sath hi antivirus apne mobile par data transfer karte time virus ko aane se rokhta hai.

 

6.Mobile ke software/apps ko update rakhe

Hack android phone se banche ke liye Mobile software aur apps ko update rakhna jaruri hai, kyuki jo bhi new update aate hai vo purani apps ya software me jo kami hoti hai unko dhyan me rakhkar update ki huai hoti hai. jo hackers dwara hack karna easy nhi hota hai.

        Read Also :-Top10 Money earning apps 2020

 

7.Wifi/Bluetooth ka use karte time dhayan

Mobile phone data hack hone se bachne ke liye wifi (Hack wifi network) aur Bluetooth ka use karte time savdhani rakhni chahiye, anjan wifi or bluetooth ko connect nhi karna chahiye sath hi dono ko use karne ke bad off kar lena chahiye,  Wifi or Bluetooth ko hamesha password protect rakhna chahiye. agar open ho to unhe password protect rakho.

 

8.Spam link ko open karne se bache

Mobile phone data hack hone se bachne ke liye spam link me kholne me savdhani rakhni chahiye, Spam links ise links hote hai jo apke mobile me sms ya social media ke through aate hai, Jinhe open karne se apke mobile me virus attract ho sakte hai.

 

Conclusion:

Aaj ki post me aapne jana ki Mobile data hack hone se kaise bachaye jaye, Uper diye gye tips ko dhayan me rakh kar aap apne mobile ko safe or secure rakh sakte hai.

Agar apko uppar di gyi jankari pasand aayi ho to ish post ko apne dosto or whatsapp, facebook me share kare. Jisse apke dosto ki bhi help ho sake.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *